Rahat Indori
*****
Kashti tera naseeb chamkdaar kar diya
Kashti tera naseeb chamkdaar kar diya
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya
Afwaah thi ki meri tabiyat kharaab hain
Logo ne puch puchh ke bimar kar diya
Raaton ko chandni ke bharose nachorna
Suraj ne jugnuoon ko khabardar kar diya
Ruk ruk k log dekh rahe hain meri taraf
Tumne zara si baat ko akhbaar kar diya
Is bar ek aur bhi deewar gir gyi
Baarish ne mere ghar ko hawa daar kar diya
Bola tha sach to zahar pilaya gya mujhe
Acchhaiyon ne mujhko gunhgaar kar diya
Do gaj sahi magar ye meri malikiyat to hain
Ae mout tune mujhko zameedar kar diya
Rahat Indori
<—-Intezamat naye sire se sambhale jayen Bulati hai magar jaane ka nai—>
Collection of Rahat Indori Ghazals and Shayari
*****
कश्ती तेरा नसीब चमकदार कर दिया
कश्ती तेरा नसीब चमकदार कर दिया
इस पार के थपेड़ों ने उस पार कर दिया
अफवाह थी की मेरी तबियत ख़राब हैं
लोगो ने पूछ पूछ के बीमार कर दिया
रातों को चांदनी के भरोसें ना छोड़ना
सूरज ने जुगनुओं को ख़बरदार कर दिया
रुक रुक के लोग देख रहे है मेरी तरफ
तुमने ज़रा सी बात को अखबार कर दिया
इस बार एक और भी दीवार गिर गयी
बारिश ने मेरे घर को हवादार कर दिया
बोल था सच तो ज़हर पिलाया गया मुझे
अच्छाइयों ने मुझे गुनहगार कर दिया
दो गज सही ये मेरी मिलकियत तो हैं
ऐ मौत तूने मुझे ज़मीदार कर दिया
राहत इन्दौरी
<—–इन्तेज़ामात नए सिरे से संभाले जाएँ बुलाती है मगर जाने का नईं—->
राहत इन्दौरी कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Unknown says
LOG MAJBOOR HAIN…PATTHAR TO WO MARENGE ZAROOR"
KYON SHEESHON SE KAHA JAAYE KI TOOTA NA KRO"