Munawwar Rana
*****
Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
Maan dua karti hui khwaab mein aa jati hai
Roz main apne lahoo se use khat likhta hoon
Roz ungli meri tezaab mein aa jati hai
Dil ki galiyon se teri yaad nikalti hi nahi
Sohni fir isi punjaab mein aa jati hai
Raat bhar jaagte rahne ka sila hai shayad
Teri tasweer si mehtaab mein aa jati hai
Ek kamre mein basar karta hai sara kunba
Saari duniya dil-e-betaab mein aa jati hai
Zindagi tu bhi bhikharin ki rida oddhe huye
Koocha-e-reshmo-kimkhwaab mein aa jati hai
Dukh kisi ka ho chalak uthti hain meri aankhein
Saari mitti meere taalab mein aa jati hai
Munawwar Rana
<—-Ghar me rahte hue gairon ki tarha hoti Koi chehara kisi ko umar bhar accha ——>
Collection Of Munawwar Rana Ghazals and Shayari
*****
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है
माँ दुआ करती हुई ख़्वाब में आ जाती है
रोज़ मैं अपने लहू से उसे ख़त लिखता हूँ
रोज़ उंगली मेरी तेज़ाब में आ जाती है
दिल की गलियों से तेरी याद निकलती ही नहीं
सोहनी फिर इसी पंजाब में आ जाती है
रात भर जागते रहने का सिला है शायद
तेरी तस्वीर-सी महताब* में आ जाती है
एक कमरे में बसर करता है सारा कुनबा
सारी दुनिया दिले- बेताब में आ जाती है
ज़िन्दगी तू भी भिखारिन की रिदा* ओढ़े हुए
कूचा – ए – रेशमो -किमख़्वाब में आ जाती है
दुख किसी का हो छलक उठती हैं मेरी आँखें
सारी मिट्टी मिरे तालाब में आ जाती है
महताब – चाँद
रिदा- चादर
मुनव्वर राना
<—-घर में रहते हुए ग़ैरों की तरह होती हैं कोई चेहरा किसी को उम्र भर अच्छा नहीं लगता—–>
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स,
Naim.khan says
Bahot badiya likhte ho janab
Atif Habib says
Door baithe ho magar pass nazar aate ho…
pass as jao toh sahra main nazar aate ho
.jo pahucha main sahra toh wahan se tum tanhe tanha nazar aate ho
Neetu Singhal says
यादों को मौजे दिल के साहिल पे छोड़ती..,
शर्मा के निगाहें मिरी हिजाब में आ जाती…..