Waseem Barelvi
*****
Usoolon pe jahaan aanch aaye takrana zaroori hai
Usoolon pe jahaan aanch aaye takrana zaroori hai
Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
Nayi umron ki khud_mukhtaariyon ko kaun samjhaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai
Thake haare parinde jab basere ke liye laute
Saliqaamand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai
Bahut bebaak aankhon mein ta’alluq tikk nahi paata
Muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
Saliqa hi nahi shaayad use mahsuus karne ka
Jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai
Mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai
Waseem Barelvi
<——Kaun si baat kahan kaise kahee jaati hai Main is ummeed pe dooba ke tu bacha lega—->
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
*****
उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है
बहुत बेबाक आँखों में त’अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
वसीम बरेलवी
<—–कौन सी बात कहाँ कैसे कही जाती है मैं इस उम्मीद में डूबा कि तू बचा लेगा ——>
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Mahesh Saraswat says
अति सुन्दर I