Waseem Barelvi
*****
Wo mujhe chhodkar yoon aage badha jata hai
Wo mujhe chhodkar yoon aage badha jata hai
Jaise ab mera safar khtam hua jata hai
Baat rone ki lage aur hansa jata hai
Yoon bhi haalaat se samjhauta kiya jata hai
Dil ke rishte hi gira dete hain diwarein bhi
Dil ke rishton hi ko deewar kaha jata hai
Ye meri aakhri shab to nahi maykhaane me
Kaanpte haathon se kyun jaam diya jata hai
kis adalat me suna jayega dawa unka
Jin umeedon ka gla ghont diya jata hai
Faasle jis ki rafaqat ka muqaddar thehre
Us musafir ka kahan saath diya jata hai
Raat aadhi se jyada hi gyi hogi “Waseem”
Aao ghar laut lein, Naawaqt hua jata hai
Waseem Barelvi
<—-Main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikle Main apne khwab se bichada nazar nahi aata—>
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
*****
वो मुझे छोडकर यूँ आगे बढा जाता है
वो मुझे छोडकर यूँ आगे बढा जाता है
जैसे अब मेरा सफर खत्म हुआ जाता है
बात रोने की लगे और हँसा जाता है
यूँ भी हालात से समझौता किया जाता है
दिल के रिशते ही गिरा देते हैं दीवारें भी
दिल के रिशतों ही को दीवार कहा जाता है
ये मेरी आखरी शब तो नहीं मयखाने में
काँपते हाथों से क्यों ज़ाम दिया जाता है
किस अदालत में सुना जायेगा दावा उनका
जिन उममीदों का गला घोंट दिया जाता है
फासले जिस की रफाकत का मुक़द्दर ठहरे
उस मुसाफिर का कहाँ साथ दिया जाता है
रात आधी से जयादा ही गयी होगी “वसीम”
आओ घर लौट लें, नावकत* हुआ जाता है
*नावकत – देर
वसीम बरेलवी
<—–मैं चाहता भी यही था वो बेवफ़ा निकले मैं अपने ख़्वाब से बिछ्ड़ा नज़र नहीं आता—>
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
Join the Discussion!