Bashir Badr
*****
Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye
Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye
qabr ke sookhe hue phool utha kar le jaye
Mutizar phool mein khusboo ki tarah hoon kab se
Koi jhoken ki tarah aaye uda kar le jaye
Ye bhi pani hai magar aankhon ka aesa pani
Jo hatheli pe rachi mehandi uda kar le jaye
Main mohabbat se mahakta hua khat hoon mujh ko
Zindgii apni kitaabon mein daba kar le jaye
Khaak insaaf hai nabeena buton ke aage
Raat thaali mein chiraagon ko saza kar le jaye
Bashir Badr
<—— Raat ke saath raat leti thi Guroor us pe bahut sajta hai magar keh do—->
Bashir Badr ki Ghazalon aur Shayariyon ka sangrah
*****
ख़्वाब इस आँखों से अब कोई चुरा कर ले जाये
ख़्वाब इस आँखों से अब कोई चुरा कर ले जाये
क़ब्र के सूखे हुये फूल उठा कर ले जाये
मुंतज़िर* फूल में ख़ुश्बू की तरह हूँ कब से
कोई झोंकें की तरह आये उड़ा कर ले जाये
ये भी पानी है मगर आँखों का ऐसा पानी
जो हथेली पे रची मेहंदी उड़ा कर ले जाये
मैं मोहब्बत से महकता हुआ ख़त हूँ मुझ को
ज़िन्दगी अपनी किताबों में दबा कर ले जाये
ख़ाक इंसाफ़ है नाबीना बुतों के आगे
रात थाली में चिराग़ों को सजा कर ले जाये
* मुंतज़िर – इंतज़ार करना
बशीर बद्र
<—— रात के साथ रात लेटी थी ग़ुरूर उस पे बहुत सजता है मगर कह दो—->
बशीर बद्र कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Join the Discussion!