Javed Akhtar
*****
Misaal iski kahan hain zamaane mein
Misaal iski kahan hain zamaane mein
Ki saare khone ke gham paaye humne paane mein
Wo shakl pighali to har shai mein dhal gai jaise
Ajeeb baat hui hai use bhulane mein
Jo muntzir na mila wo to hum hai sharminda
Ki humne der laga di palat ke aane mein
Lateef tha wo takhaiyyul se, khwaab se nazuk
Gawa diya humne hi use aazmaane mein
Samajh liya tha kabhi ek saraab ko dariya
Par ek sukoon tha humko fareb khaane mein
Jhuka darkht hawa se, to aandhiyon ne kaha
Jiyada fark nahin jhuk ke toot jaane mein
Javed Akhtar
<—–Mujhko yakin hai sach kehti thi Jate jate wo mujhe achi nishani de gaya —->
Collection of Javed Akhtar Ghazals and Shayari
*****
मिसाल इसकी कहाँ है ज़माने में
मिसाल इसकी कहाँ है ज़माने में
कि सारे खोने के ग़म पाये हमने पाने में
वो शक्ल पिघली तो हर शै में ढल गई जैसे
अजीब बात हुई है उसे भुलाने में
जो मुंतज़िर न मिला वो तो हम है शर्मिंदा
कि हमने देर लगा दी पलट के आने में
लतीफ़ था वो तख़ैय्युल से, ख़्वाब से नाज़ुक
गवा दिया हमने ही उसे आज़माने में
समझ लिया था कभी एक सराब* को दरिया
पर एक सुकून था हमको फ़रेब खाने में
झुका दरख़्त हवा से, तो आँधियों ने कहा
ज़ियादा फ़र्क़ नहीं झुक के टूट जाने में
* सराब = मृगतृष्णा
जावेद अख्तर
<—–मुझको यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं जाते जाते वो मुझे अच्छी निशानी दे गया —–>
जावेद अख्तर की ग़ज़लों, कविताओं, शायरियों और गीतों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!