Javed Akhtar
*****
Ye tera ghar ye mera ghar
Ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhna ho agar
To pehale aake maang le meri nazar teri nazar
Ye ghar bahut haseen hai
Na badalon ki chhanv mein na chandani ke gaanv mein
Na phool jaise raste bane hai iske waste
Magar ye ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai
Ye iat patahron ka ghar hamari hasraton ka ghar
Jo chandani nahin to kya ye roshani hai pyar ki
dilon ke phool khil gaye to fikar kya bahaar ki
Hamare ghar na aayegi khabhi khushi udhar ki
Hamari rahaton ka ghar hamari chahaton ka ghar
Yahan mahak wafaaon ki hai kahkahon ke rang hai
Ye gahr tumhara khwaab hai ye ghar meri umang hai
Na aarjoo pe qaid hai na hausale par jang hai
Hamare hausalon ka ghar hamari himmaton ka ghar
Javed Akhtar
<—–Dard apnata hai paraye kaun Jeena mushqil hai ke aasaan zara dekh to lo—–>
Collection of Javed Akhtar Poetry, Ghazals, Shayari and Lyrics
*****
ये तेरा घर ये मेरा घर
ये तेरा घर ये मेरा घर किसी को देखना हो अगर
तो पहले आके माँग ले मेरी नज़र तेरी नज़र
ये घर बहुत हसीन है
न बादलों की छाँव में न चाँदनी के गाँव में
न फूल जैसे रास्ते बने हैं इसके वास्ते
मगर ये घर अजीब है ज़मीन के क़रीब है
ये ईँट पत्थरों का घर हमारी हसरतों का घर
जो चाँदनी नहीं तो क्या ये रोशनी है प्यार की
दिलों के फूल खिल गये तो फ़िक्र क्या बहार की
हमारे घर ना आयेगी कभी ख़ुशी उधार की
हमारी राहतों का घर हमारी चाहतों का घर
यहाँ महक वफ़ाओं की है क़हक़हों के रंग है
ये घर तुम्हारा ख़्वाब है ये घर मेरी उमंग है
न आरज़ू पे क़ैद है न हौसले पर जंग है
हमारे हौसले का घर हमारी हिम्मतों का घर
जावेद अख्तर
<—–दर्द अपनाता है पराए कौन जीना मुश्किल है के आसान ज़रा देख तो लो—–>
जावेद अख्तर की ग़ज़लों, कविताओं, शायरियों और गीतों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!