Bashir Badr
*****
Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakhe hain
Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakhe hain
Aaj tak hamne ye darwaaze khule rakhe hain
Is kahani ke wo kirdaar kahan se laaun
Wahi dariya hai wahin kacche ghade rakhe hain
Ham pe jo gujari na bataaya na bataayenge kabhi
Kitne khat ab bhi tere naam likhe rakhe hain
Aapke paas khareedaari ki kuvvat hai agar
Aaj sab log dukaano mein saze rakhe hai,
Bashir Badr
<——Ab tere mere beech koi faasla bhi ho Koi phool dhoop ki pattiyon mein —>
Bashir Badr ki Ghazalon aur Shayariyon ka sangrah
*****
दिल की दहलीज़ पे यादों के दिए रक्खे हैं
दिल की दहलीज़ पे यादों के दिए रक्खे हैं
आज तक हमने ये दरवाज़े खुले रक्खे हैं
इस कहानी के वो किरदार कहाँ से लाऊं
वही दरिया है वही कच्चे घड़े रखे हैं
हम पे जो गुजरी न बताया न बताएँगे कभी
कितने ख़त अब भी तेरे नाम लिखे रक्खे हैं
आपके पास खरीदारी की कुव्वत है अगर
आज सब लोग दुकानों में सजे रखे रक्खे हैं
बशीर बद्र
<——अब तेरे मेरे बीच कोई फ़ासला भी हो कोई फूल धूप की पत्तियों में हरे रिबन से बंधा हुआ—>
बशीर बद्र कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!