Ahmad Faraz (अहमद फ़राज़)
*****
Payaam aaye hain us yaar-e-bewafa ke mujhe
Payaam aaye hain us yaar-e-bewafa ke mujhe
Jise qaraar na aaya kahin bhula ke mujhe
Judayiyaan hon to aisi ki umar bhar na milein
Fareb do to zra silsile badha ke mujhe
Nashe se kam to to nahi yaad-e-yaar ka aalam
Ki le uda hai koi dosh par hawa ke mujhe
Mai khud ko bhool chuka tha magar jahaan wale
Udaas chhod gaye aaina dikha ke mujhe
Tumhare baam se ab kam nahi hai rifat-e-daar
Jo dekhna ho to dekho nazar utha ke mujhe
Bichhi hui hai mere aansuon me ik tasveer
‘Faraz’ dekh raha hai wo muskura ke mujhe
Ahmad Faraz
<—-Zakhm ko phool to sar sar ko saba kahte hain Main to maqtal mein bhi kismat ka Skiandar nikala–>
Collection of Ghazals and Lyrics of Ahmad Faraz
*****
पयाम आए हैं उस यार-ए-बेवफा के मुझे
पयाम* आए हैं उस यार-ए-बेवफा के मुझे
जिसे क़रार ना आया कहीं भुला के मुझे
जूदाईयाँ हों तो ऐसी की उम्र भर ना मिले
फरेब* तो दो ज़रा सिलसिले बढ़ा के मुझे
नशे से कम तो नहीं यादे-यार का आलम*
कि ले उडा है कोई दोश* पर हवा के मुझे
मैं खुद को भूल चुका था मगर जहाँ वाले
उदास छोड़ गये आईना दिखा के मुझे
तुम्हारे बाम* से अब कम नहीं है रिफअते-दार*
जो देखना हो तो देखो नज़र उठा के मुझे
बिछी हुई है मेरे आँसूओं में एक तस्वीर
‘फराज़’ देख रहा है वह मुस्कुरा के मुझे..
पयाम = संदेश
फरेब = धोखा
आलम = समय
दोश = कंधा
बाम = छत
रिफअते-दार = दोस्ती या प्रेम की ऊँँचाई
अहमद फ़राज़
<—-जख्म को फूल तो सर-सर को सबा कहते है मैं तो मकतल में भी किस्मत का सिकंदर निकला—>
अहमद फ़राज़ की ग़ज़लों और गीतों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
Join the Discussion!