Khumar Barabankvi
*****
Ae maut unhein bhulaaye zamaane gujar gaye
Ae maut unhein bhulaaye zamaane gujar gaye
Aa ja ki zahar khaaye zamaane gujar gaye
O jaane waale! aa ki tere intzaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane gujar gaye
Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
Sab se nazaat paaye zamaane gujar gaye
Kya laayak-e-sitam bhi nahin ab main doston
Pathar bhi ghar mein aaye zamaane gujar gaye
Jaane-bahaar phool nahin aadami hun main
Aa ja ki muskuraaye zamane gujar gaye
Kya-kya tawkkoat thi aahon se ae ‘Khumar’
Yah teer bhi chalaaye zamaane gujar gaye
Khumar Barabankvi
Khumar Barabankvi ki ghazalon aur shayariyon ka sangrah
*****
ऐ मौत उन्हें भुलाए ज़माने गुज़र गए
ऐ मौत उन्हें भुलाए ज़माने गुज़र गए
आ जा कि ज़हर खाए ज़माने गुज़र गए
ओ जाने वाले! आ कि तेरे इंतज़ार में
रस्ते को घर बनाए ज़माने गुज़र गए
ग़म है न अब ख़ुशी है न उम्मीद है न यास*
सब से नजात पाए ज़माने गुज़र गए
क्या लायक़-ए-सितम भी नहीं अब मैं दोस्तों
पत्थर भी घर में आए ज़माने गुज़र गए
जाने-बहार फूल नहीं आदमी हूँ मैं
आ जा कि मुस्कुराए ज़माने गुज़र गए
क्या-क्या तवक्कोअत थी आहों से ऐ ‘ख़ुमार’
यह तीर भी चलाए ज़माने गुज़र गए
यास = निराशा
खुमार बाराबंकवी
खुमार बाराबंकवी की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह
*****
Tag : New, Best, Latest, Two Line, Hindi, Urdu, Shayari, Sher, Ashaar, Collection, Shyari, नई, नवीनतम, लेटेस्ट, हिंदी, उर्दू, शायरी, शेर, अशआर, संग्रह
Join the Discussion!