Waseem Barelvi – Ab In Aankhon Mein Koi Kahani Nahi | वसीम बरेलवी – अब इन आंखों में कोई कहानी नहीं
*****
अब इन आंखों में कोई कहानी नहीं
अब इन आंखों में कोई कहानी नहीं
कैसे दरिया हुए जिनमें पानी नहीं
खो गई मिल गई वक़्त की गर्द में
वह मुहब्बत जो लगता था फ़ानी नहीं
रेज़ा रेज़ा बिखरना मुक़द्दर हुआ
हार कर भी कभी हार मानी नहीं
सारा किस्सा सफ़र के इरादों का है
रास्तों की तो कोई कहानी नहीं
भागती भीड़ से कोई कह दे ‘वसीम’
मेरी आंखों में आंसू हैं, पानी नहीं
वसीम बरेलवी
<—-अपने अंदाज़ का अकेला था अब ऐसा घर के दरीचों को बन्द क्या रखना—>
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Ab In Aankhon Mein Koi Kahani Nahi
Ab In Aankhon Mein Koi Kahani Nahi
Kaise Dariya Hue Jinme Pani Nahi
Kho Gai Mil Gai Waqt Ki Gard Mein
Wah Muhabbat Jo Lagta Tha Faani Nahi
Reja Reja Bikharna Muqaddar Hua
Haar Kar Bhi Kabhi Haar Maani Nahi
Sara Kissa Safar Ke Iraadon Ka hai
Raston Ki To Koi Khanai Nahi
Bhagti Bheed Se Koi Kah De ‘Waseem’
Meri aankhon Mein Aansoo Hai, Pani Nahin
Waseem Barelvi
<—- Apne Andaz Ka Akela Tha Ab aisa ghar ke dareechon ko band kiya rakhna—->
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
Join the Discussion!