Waseem Barelvi – Khwab dekhun, khwab si tabeer ho sakti nahi | वसीम बरेलवी – ख़्वाब देखूं, ख़्वाब-सी ताबीर हो सकती नही
*****
ख़्वाब देखूं, ख़्वाब-सी ताबीर हो सकती नही
ख़्वाब देखूं, ख़्वाब-सी ताबीर हो सकती नही
जो बदल जाये, मेरी तक़्दीर हो सकती नही
मेरी जानिब हों निगाहें , दिल में कोइ और हो
इतनी लापरवाह तेरी तसवीर हो सकती नहीं
रौंदते जाते हो रिश्ते , तोडते जाते हो दिल
इस तरह तो कोई भी तामीर हो सकती नही
कुछ भी सुनने के लिए राज़ी नही है सामईन
आज जलसे मे कोई तक़रीर हो सकती नही
मै मुखातिब हूं, तो मेरा नाम भी होगा कही
इस क़दर बेरब्त यह तहरीर हो सकती नहीं
वसीम बरेलवी
<—— कोई मौसम नही ख़ुद को दोहरायेगा चलो हम ही पहल कर दें कि हम से बद-गुमाँ क्यूँ हो —->
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Khwab dekhun, khwab si tabeer ho sakti nahi
Khwab dekhun, khwab si tabeer ho sakti nahi
Jo badal jaaye, meri taqdeer ho sakti nahi
Meri jaanib ho nigaahein, dil mein koi aur ho
Itani laaparwaah teri tasveer ho sakti nahi
Raundte jaate ho rishte, todte jaate ho dil
Is tarah se to koi bhi taamir ho sakti nahi
Kuchh bhi sunne ke liye raazi nahi hai saamain
Aaj jalse mein koi taqrir ho sakti nahi
Main mukhatib hoon, to mera naam bhi hoga kahi
Is kadar berabt uah tahreer ho sakti nahi
Waseem Barelvi
<—– Koi mausam nahi khud ko doharaayega Chalo ham hi pahal kar de ki ham se bad-guman kyun ho —->
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
******
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
Join the Discussion!