Gham Shayari, Hindi, Famous, Latest, 2 Line, 4 Line, WhatsApp, Facebook, Images, Pics, ग़म शायरी
*****
ग़म की बारिश ने भी तेरे नक्स को धोया नहीं
तू ने मुझ को खो दिया, मैंने तुझे खोया नहीं
Gham ki barish ne bhi tere naks ko dhoya nahin
Tu ne mujh ko kho diya, maine tujhe khoya nahin
Gham Shayari
*****
ना ख़ुशी की तलाश है ना गम-ए-निजात की आरज़ू
मैं खुद से नाराज़ हूँ… तेरी बेरुखी के बाद
Na khushi ki talash hai na gham-e-nizat ki aarzoo
Main khud se naraaz hoon…teri berukhi ke baad
*****
गम-ए-हयात परेशान न कर सकेगा मुझे
कि आ गया है मुझ को हुनर मुस्कुराने का
Gham-e-hayat pareshan na kar sakega mujhe
Ki aa gaya hai mujh ko hunar muskurane ka
*****
हमें तो काटनी है शाम-ए-ग़म में ज़िन्दगी अपनी
जहाँ वो हैं वहीं ऐ चाँद ले जा चाँदनी अपनी
Hamein to katni hai sham-e-zindagi apni
Jahan wo hai wahi ae chand le ja chandani apni
*****
मुस्कुराते पलको पे सनम चले आते हैं
आप क्या जानो कहाँ से हमारे गम आते हैं
आज भी उस मोड़ पर खड़े हैं,जहाँ
किसी ने कहा था कि ठहरो हम अभी आते है
Muskurate palkon pe sanam chale aate hain
Aap kya jano kahan se hamare gham aate hain
Aaj bhi us mod par khade hain, jahan
Kisi ne kaha tha ki thaharo ham abhi aate hain
*****
तेरे ग़म को अपनी रूह में उतार लूँ
ज़िंदगी तेरी चाहत में सवार लूँ
मुलाक़ात हो तुझसे कुछ इस तरह
तमाम उम्र बस एक मुलाक़ात में गुज़र लूँ
Tere gham ko apni rooh mein utaar loon
Zindagi teri chahat meinn sawar loon
Mulakat ho tujhse kuchh is tarah
Tamma umar bas ek mulaakat mein gujar loon
Gham Shayari Images
*****
माना कि तुम्हें मुझसे ज्यादा ग़म होगा
मगर रोने से ये ग़म कभी कम न होगा
जीत ही लेंगे दिल की नाकाम बाजियां हम
अगर मोहब्बत में हमारी दम होगा
Mana ki tumhein mujhse jyada gham hoga
Magar rone se ye gham kabhi kam na hoga
Jeet hilenge dil ki naakam baajiyan ham
Agar bmohabbat mein hamari dam hoga
*****
मंज़िलों के ग़म में रोने से मंज़िलें नहीं मिलती
हौंसले भी टूट जाते हैं अक्सर उदास रहने से
Manzilon ke gham mein rone se manzilein nahi milti
Hausalein bhi toot jaate hain akasar udaas rahne se
*****
जानता हूँ एक ऐसे शख्स को मैं भी ‘मुनीर’
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं
Janta hoon ek aese shakhs ko main bhi Munir
Gham se patthar ho gaya lekin roya nahin
*****
अपनी तबाहियों का मुझे गम तो है मगर
तुम ने किसी के साथ मोहब्बत निभा तो दी
APni tabahiyon ka mujhe gham to hai magar
Tum ne kisi ke sath mohaabt nibha to di
*****
मेरे कमरे में अँधेरा नहीं रहने देता
आपका ग़म मुझे तन्हा नहीं रहने देता
Mere kamre mein andhera nahin rahne deta
Aapka gham mujhe tanha nahin rahne deta
Dillagi Shayari | दिल्लगी शायरी
Gham Shayari Pics
*****
और भी गम हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवाए
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवाय
Aur bhi gham hai jamane mein mohabbat ke siwaye
Rahtein aur bhi hain vasl ki raahat ke siwaye
*****
दिल न-उम्मीद तो नहीं, नाकाम ही तो है
लम्बी है गम कि शाम मगर शाम ही तो है
Dil na ummeed to nahi, nakam hi to hai
Lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
*****
मौत-ओ-हस्ती की कश्मकश में कटी तमाम उम्र
ग़म ने जीने न दिया शौक़ ने मरने न दिया
Maut -o-hasti ki kashakash mein kati tamaam umar
Gham ne jeene na diya sahuk ne marne na diya
*****
तेरी दुनिया में जीने से तो बेहतर हैं कि मर जायें
वही आँसू, वही आहें, वही ग़म है जिधर जायें
कोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जाता
वही बेगाने चेहरे हैं जहाँ जायें जिधर जायें
Teri duniya mein jeene se to behtar hain ki mar jayein
Wahi aansoo, wahi aahein, wahi gham hai jidhar jayein
Koi to aesa ghar hota jahan se pyar mil jata
Wahi begaane chehare hain jahan jayein jidhar jayein
*****
जिनकी आँखें आँसुओं से नम नहीं
क्या समझते हो कि उन्हें कोई ग़म नहीं
तुम तड़प कर रो भी दिए तो क्या हुआ
ग़म छुपा कर हँसने वाले भी कम नहीं
Jinki aankhein aansuon se nam nahin
Kya samjhte ho ki unhein koi gham nahin
Tum tadap kar ro bhi diye to kya hua
Gham chhupa kar hasne wale bhi kam nahin
Latest Gham Shayari
*****
ग़म देकर तुमने खता की
ऐ सनम तुम ये न समझना
तेरा दिया हुआ ग़म भी
हमें दवा ही लगता है
Gham dekar tumne khata ki
Ae sanam tum ye na samjhna
Tera diya hua gham bhi
Hame dawa hi lagta hai
*****
गम यह नहीं की क़सम अपनी भुलाई तुमने
ग़म तो ये है की रकीबों से निभाई तुमने
कोई रंजिश थी अगर तुम को तो मुझसे कहते
बात आपस की थी क्यों सबको बतायी तुमने
Gham yah nahi ki kasam apni bhulai tumne
Gham to ye hai ki raqeebon se nibhai tumne
Koi ranjish thi agar tum ko to mujhse kahte
Baat aapas ki thi kyon sabko bataayi tumne
*****
मोहब्बत के भी कुछ अंदाज़ होते हैं
जागती आँखों के भी कुछ ख्वाब होते हैं
जरुरी नहीं कि गम में ही आँसू निकलें
मुस्कुराती आँखों में भी सैलाब होते हैं
Mohabbat ke bhi kuchh andaaz hote hain
Jagati aankhon ke bhi kuchh khwaab hote hain
Jaruri nahin ki gham mein hi aansoo nikale
Muskurati aankhon mein bhi sailaab hote hain
*****
ग़म ने हंसने ना दिया, ज़माने ने रोने ना दिया
इस उलझन ने जीने ना दिया
थक के जब सितारों से पनाह ली
नींद आयी तो आपकी याद ने सोने ना दिया
Gham ne hasne na diya, jamane ne rone na diya
Is uljhan ne jeene na diya
Thak ke jab sitaro se panaah li
Neen aayi to aapki yaad ne sone na diya
*****
अगर वो पूछ ले हमसे कहो किस बात का गम है
तो फिर किस बात का गम है अगर वो पूछ ले हमसे
Agar wo puchh le hamse kaho kis baat ka gham hai
To phir kis baat ka gham hai agar wo puchh le hamse
Famous Gham Shayari
*****
निकल आते हैं आँसू हँसते हँसते
ये किस ग़म की कसक है हर खुशी में
Nikal aate hai aansoo haste haste
Ye kis gham ki kasak hai har khushi mein
*****
जब्त-ए-गम कोई आसान काम नहीं फ़राज़
आग होते है वो आँसू जो पिये जाते हैं
Jabt-e-gham koi aasaan kaam nahin ‘Faraz’
Aag hote hai wo aansoo jo piye jate hain
*****
दिल में अरमान बहुत हैं
ज़िन्दगी में ग़म बहुत हैं
कब की मार डालती यह दुनिया हमें
कम्बख्त दोस्तों की दुआओं में दम बहुत है
Dil mein armaan bahut hain
Zindagi mein gham bahut hain
Kab ki maar dalti yah duniya hamein
Kambakht doston ki duaaon mein dam bahut hai
*****
मत बनाना रिश्ता इस जहां में
बहुत मुश्किल उन्हें निभाना होगा
हर एक रिश्ता एक नया ग़म देगा
एक तरफ बेबस तू और एक तरफ
हँसता ज़माना होगा
Mat banaana rishta is jahan mein
Bhaut mushqil unhein nibhana hoga
Har ek rishta ek naya gham dega
Ek taraf bebas tu aur ek taraf hasta jamana hoga
*****
चाहा था मुक़म्मल हो मेरे गम की कहानी
मैं लिख न सका कुछ भी तेरे नाम से आगे
Chaha tha mukammal ho mere gham ki kahani
Main likh na saka kuchh bhi tere naam se aage
Gham Shayari Images
*****
ग़म इसका नहीं कि तू मेरा न हो सका
मेरी मोहब्बत में मेरा सहारा ना बन सका
ग़म तो इसका भी नहीं कि सुकून दिल का लुट गया
ग़म तो इसका है कि मोहब्बत से भरोसा ही उठ गया
Gham iska nahin ki tu mera na ho saka
Meri mohabbat mein mera sahara na ban saka
Gham to iska bhi nahin ki sukoon dil ka lut gaya
Gham to iska hai ki mohabbat se bharosa hi uth gaya
*****
फूल बनकर मुस्कुराना है ज़िंदगी
मुस्कुराते हुए सब ग़म भुलाना है ज़िंदगी
जीत का जश्न तो हर कोई मना लेता है
हार कर खुशियां मनाना है ज़िंदगी
Phool bankar muskurana hai zindagi
Muskurate hue sab gham bhulana hai zindagi
Jeet ka jashn to har koi mana leta hai
Haar kar khushiya manana hai zindagi
*****
कभी उसको हमारी यादों ने सताया होगा
चेहरा हमारा आँखों से आँसुओं ने मिटाया होगा
ग़म ये नहीं कि वो भूल गए होंगे हमको
ग़म ये है कि बहुत रो रो कर भुलाया होगा
Kabhi usko hamari yado ne sataya hoga
Chehara hamara aankhon se aansuon ne mitaya hoga
Gham ye nahi ki wo bhool gaye honge hamko
Gham ye hai ki bahut ro ro kar bhulaya hoga
*****
माना कि प्यार किसी का मेरे पास नहीं
मगर तुम्हें मेरी मोहब्बत का एहसास नहीं
जाने पी गए हम कितने ग़म-ए-आंसू
अब कुछ और पाने की प्यास नहीं
Mana ki pyar kisi ka mere paas nahi
Magar tumhein meri mohabbat ka ehsaas nahin
Jane pee gaye ham kitane gham-e-aansoo
Ab kuchh aur pane ki pyas nahin
*****
गम तो है हर एक को
मगर हौसले हैं जुदा जुदा
कोई टूट कर बिखर गया
कोई मुस्कुरा के चल दिया
Gahm to hai har ek ko
Magar hausale hain juda juda
Koi toot kar bikhar gaya
Koi muskura ke chal diya
Aansu Shayari | Aansoo Shayari | आंसू शायरी
Gham Shayari Pics
*****
रूठी जो ज़िंदगी तो मना लेंगे हम
मिले जो ग़म वो सह लेंगे हम
बस आप रहना हमेशा साथ हमारे
तो निकलते हुए आंसूओं में भी मुस्कुरा लेंगे हम
Ruthi jo zindagi to mana lenge ham
Mile jo gham wo sah lenge ham
Bas aap rahna hamesha sath hamare
Ti nikalte hue aansuon mein bhi muskura lenge ham
*****
नज़र नवाज़ नज़रों में ज़ी नहीं लगता
फ़िज़ा गई तो बहारों में ज़ी नहीं लगता
ना पूछ मुझसे तेरे ग़म में क्या गुजरती है
यही कहूंगा हज़ारों में ज़ी नहीं लगता
Nazar nawaz nazaron se jee nahin lagta
Fiza gayi to baharon mein jee nahin lagta
Na puchh mujhse tere gham mein kya gujarti hai
Yahi kahunga hazaron mein jee nahin lagta
*****
ग़म में हँसने वालों को कभी रुलाया नहीं जाता
लहरों से पानी को हटाया नहीं जाता
होने वाले हो जाते हैं खुद ही दिल से जुदा
किसी को जबर्दस्ती दिल में बसाया नहीं जाता
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahin jata
Laharon se pani ko hataya nahin jata
Hone wale ho jate hain khud hi dil se juda
Kisi ko jabardasti dil mein basaya nahin jata
*****
चाँद तारों का नूर आप पर बरसे
हर कोई आप की चाहत को तरसे
आप की ज़िंदगी में आएं इतनी खुशियाँ
कि आप एक ग़म पाने को तरसें
Chand taron ka noor aap par barse
Har koi aap ki chahat ko tarse
Aap ki zindagi mein aaye itani khushiyan
Ki aap ek gham pane ko tarse
*****
अब तो मेरी आँख में एक अश्क भी नहीं
पहले की बात और थी गम था नया नया
Ab to meri aankh mein ek ashq bhi nahi
Pahle ki baat aur thi gham tha naya naya
Gham WhatsApp Shayari
*****
हर गम ने हर सितम ने नया हौसला दिया
मुझको मिटाने वालो ने मुझको बना दिया
Har gham ne har sitam ne naya hausala diya
Mujhko mitane walo ne mujhko bana diya
*****
अपनी ज़िन्दगी में मुझ को करीब समझना
कोई ग़म आये तो उस ग़म में भी शरीक समझना
दे देंगे मुस्कुराहट आँसुओं के बदले
मगर हज़ारों में मुझे थोड़ा अज़ीज़ समझना
Apni zindagi mein mujh ko kareeb samjhna
Koi gham aaye to us gham mein bhi shareek samjhna
De denge muskurahat aansuon ke badale
Magar hazaron mein mujhe thoda ajeej samjhna
*****
गम-ए-दुनिया में गम-ए-यार भी शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों से मिले
Gham-e-duniya mein gham-e-yaar bhi shamil kar lo
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon se mile
*****
इंसान अगर मोहब्बत में पड़े तो ग़म में पड़ ही जाता है
क्योंकि मोहब्बत किसी को चाहे जितना भी करो
थोड़ा सा तो कम पड़ ही जाता है
Insan aagr mohabbat mein pade to gham mein pad hi jata hai
Kyonki mohabbat kisi ko chahe jitna bhi karo
Thoda sa to kam pad hi jata hai
*****
हमने सोचा के दो चार दिन की बात होगी लेकिन
तेरे ग़म से तो उम्र भर का रिश्ता निकल आया
Hamne socha ke do char din ki baat hogi lekin
Tere gham se to umar bhar ka rishta nikal aaya
Gham Facaebook Shayari
*****
दुनिया भी मिली गम-ए-दुनिया भी मिली है
वो क्यूँ नहीं मिलता जिसे माँगा था खुदा से
Duniya bhi mili gham-e-duniya bhi mili hai
Wo kyun nahin milta jise manga tha khuda se
*****
रात भर मुझको गम-ए-यार ने सोने न दिया
सुबह को खौफ-ए-शब-ए-तार ने सोने न दिया
शमा की तरफ मेरी रात कटी सूली पर
चैन से याद-ए-कद -ए-यार ने सोने न दिया
Raat bhar mujhko gham-e-yaar ne sone na diya
Subah ka kahuf-e-shab-e-taar ne sone na diya
Shama ki taraf meri raat kati suli par
Chain se yaad-e-kad-e-yaar ne sone na diya
*****
अपने दिल की बात उनसे कह नहीं सकते
ग़म-ए-जुदाई भी सह नहीं सकते
ऐ ख़ुदा, कुछ ऐसी तक़दीर बना
वो खुद आकर हमसे कहें
हम आपके बिना रह नहीं सकते
Apne dil ki baat unse kah nahin sakte
Gham-e-judai bhi sah nahi sakte
Ae khuda kuchh aesi taqdeer bana
Wo khud aakar hamse kahe
Ham aapke bina rah nahin sakte
*****
आँखें खोलूं तो चेहरा उसका हो
आँखें बंद करूँ तो सपना उसका हो
मर जाऊं तो ग़म नहीं
अगर कफ़न के बदले दुपट्टा उसका हो
Aankhein kholu to chehara uska ho
Aankhein band karun to sapna uska ho
Mar jaun to gham nahin
Agar kafan ke badale dupatta uska ho
*****
मेरे गम ने होश उनके भी खो दिए
वो समझाते समझाते खुद ही रो दिए
Mere gham ne hosh unke bhi kho diye
Wo samjhate samjhate khud hi ro diye
Gham Shayari In Hindi
*****
ये गम के दिन भी गुजर जायेंगे यूँ ही
जैसे वो राहतों के ज़माने गुजर गए
Ye gham ke din bhi gujar jaynege yun hi
Jiase wo rahaton ke jamane gujar gaye
*****
तेरे हर ग़म को अपनी रूह में उतार लूँ
ज़िन्दगी अपनी तेरी चाहत में संवार लूँ
मुलाक़ात हो तुझसे कुछ इस तरह मेरी
सारी उम्र बस एक मुलाक़ात में गुज़ार लूँ
Tere har gham ko apni rooh mein utar loon
Zindagi apni teri chahat mein sawar loon
Mulakat ho tujhse kuchh is tarah meri
Sari umar bas ek mulakat mein gujar loon
*****
चाँदनी रात में बरसात बुरी लगती है
घर में हो लाश तो बारात बुरी लगती है
ख़ुशी में मेरे दोस्त कुछ भी कह दो
लेकिन ग़म में तो हर बात बुरी लगती है
Chandani raat mein barsat buri lagti hai
Ghar mein ho lash to barat buri lagti hai
Khushi mein mere dost kuchh bhi kah do
Lekin gham mein to har baat buri lagti hai
*****
उन लोगों का क्या हुआ होगा
जिनको मेरी तरह ग़म ने मारा होगा
किनारे पर खड़े लोग क्या जाने
डूबने वाले ने किस-किस को पुकारा होगा
Un logon ka kya hua hoga
Jinko meri tarah gham ne mara hoga
Kinare par khade log kya jane
Doobane wale ne kis kis ko pukara hoga
*****
वो साथ थी तो मानो जन्नत थी ज़िन्दगी
अब तो हर सांस जिंदा रहने की वजह पूछती है
Wo sath thi to mano jannat thi zindagi
Ab to har saans zinda rahne ki wajah puchhati hai
*****
दोनों जहान तेरी मोहब्बत में हार के
वो जा रहा है कोई शब-ए-ग़म गुज़ार के
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-gham gujar ke
*****
इस शहर में हम जैसा सौदागर कहाँ मिलेगा यारो
हम गम भी खरीद लेते हैं किसी की खुशी के लिए
Is shahar mein ham jaisa saudagar kahan milega yaro
Ham gahm bhi khareed lete hai kisi ki khushi ke liye
*****
इलाही उनके हिस्से का गम भी मुझको अता कर दे
के उनकी मासूम आँखों में नमी देखी नहीं जाती
Ilaahi unke hisse ka gham bhi mujhko ata kar de
Ki unki masoom aankho mein nami dekhi nahi jati
Gham Shayari
*****
- Bachpan Shayari | Childhood Shayari | बचपन शायरी
- Patni Shayari | Shayari On Wife | पत्नी पर शायरी
- Dua Shayari | दुआ शायरी
- Bewafa Sanam Shayari | बेवफा सनम शायरी
- प्रसिद्ध शायरों की शायरियों का विशाल संग्रह
Join the Discussion!