*****
Munawwar Rana / Maa / Part 14
Mohabbat bhi ajeeb shay hai koi pardes mein roye
To fauran haath ki ik-aadh choodi toot jaati hai
BAde sheharon meinrahkar bhi baraabar yaad karta tha
Main ik chhote se station ka manjar yaad karta tha
Kisko fursat us mahfil mein gham ki kahani padhne ki
Suni kalli dekh ke lekin choodi waala toot gaya
Mujhe bulaata hai maqtal main kis tarah jaaun
Ki meri god se bachha naihn utarta hai
Kahin koi kalaai ek choodi ko tarsati hai
Kahin kangn ke jhatke se kalaai tut jaati hai
Us waqt bhi aksar tujhe ham dhoondne nikale
Jis dhoop mein majdoor bhi chhat par nahin jaate
Sharm aati hai majdoori bataate hue hamko
Itane mein to bacchon ka gubaara nahin milta
Hamne baazar mein dekhe hain ghreloo chehare
Muflisi tujh se bade log bhi dab jaate hain
Bhatkti hai hawas din raat sone ki dukaano mein
Gareebee kaan chhidwaati hai tinka daal deti hai
Ameere-shahar ka riste mein koi kuchh nahin lagta
Gareebee chaand ko bhi apna mama maan leti hai
Munawwar Rana
Munawwar Rana ki Ghazalon ka sangrah
*****
मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 14
मोहब्बत भी अजब शय है कोई परदेस में रोये
तो फ़ौरन हाथ की इक-आध चूड़ी टूट जाती है
बड़े शहरों में रहकर भी बराबर याद करता था
मैं इक छोटे से स्टेशन का मंज़र याद करता था
किसको फ़ुर्सत उस महफ़िल में ग़म की कहानी पढ़ने की
सूनी कलाई देख के लेकिन चूड़ी वाला टूट गया
मुझे बुलाता है मक़्तल* मैं किस तरह जाऊँ
कि मेरी गोद से बच्चा नहीं उतरता है
कहीं कोई कलाई एक चूड़ी को तरसती है
कहीं कंगन के झटके से कलाई टूट जाती है
उस वक़्त भी अक्सर तुझे हम ढूँढने निकले
जिस धूप में मज़दूर भी छत पर नहीं जाते
शर्म आती है मज़दूरी बताते हुए हमको
इतने में तो बच्चों का ग़ुबारा नहीं मिलता
हमने बाज़ार में देखे हैं घरेलू चेहरे
मुफ़्लिसी* तुझ से बड़े लोग भी दब जाते हैं
भटकती है हवस दिन-रात सोने की दुकानों में
ग़रीबी कान छिदवाती है तिनका डाल देती है
अमीरे-शहर का रिश्ते में कोई कुछ नहीं लगता
ग़रीबी चाँद को भी अपना मामा मान लेती है
मक़्तल = क़त्ल का स्थान
मुफलिसी = गरीबी
मुनव्वर राना
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Join the Discussion!