Bashir Badr
*****
Kaun aaya raaste aaina khane ho gaye
Kaun aaya raaste aaina khane ho gaye
Raat raushan ho gai din bhi suhaane ho gaye
Kyon haweli ke ujadne ka mujhe afsos ho
Saikadon beghar parindon ke thikaane ho gaye
Ye bhi mumkin hai ke usne mujhko pahchaana na ho
Ab use dekhe hue kitne jamaane ho gaye
Jaao un kamron ke aaine uthaakar fenk do
Wo agar ye kah rahe ho ham puraane ho gaye
Meri palkon par ye aansoo pyar ki tauhin hai
Unki aankhon se gire moti ke daane ho gaye
Bashir Badr
<—–Mom ki zindgi ghula karna Ek chehra sath sath raha jo mila nahi——->
Bashir Badr ki Ghazalon aur Shayariyon ka sangrah
*****
कौन आया रास्ते आईना ख़ाने हो गए
कौन आया रास्ते आईना ख़ाने हो गए
रात रौशन हो गई दिन भी सुहाने हो गए
क्यों हवेली के उजड़ने का मुझे अफ़सोस हो
सैकड़ों बेघर परिंदों के ठिकाने हो गए
ये भी मुमकिन है के उसने मुझको पहचाना न हो
अब उसे देखे हुए कितने ज़माने हो गए
जाओ उन कमरों के आईने उठाकर फेंक दो
वो अगर ये कह रहें हो हम पुराने हो गए
मेरी पलकों पर ये आँसू प्यार की तौहीन हैं
उनकी आँखों से गिरे मोती के दाने हो गए
बशीर बद्र
<—–मोम की ज़िन्दगी घुला करना एक चेहरा साथ साथ रहा जो मिला नहीं——->
बशीर बद्र कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Join the Discussion!