Qateel Shifai (क़तील शिफ़ाई)
Qateel Shifai Best Sher Part – 3
*****
21
सितम तो ये है कि वो भी ना बन सका अपना
कूबूल हमने किये जिसके गम खुशी कि तरह
Sitam to yah hai ki wo bhi na ban saka apna
Kubool hamne kiye jiske gham khushi ki tarah
*****
22
हो खुशी भी उनको हासिल ये ज़रूरी तो नहीं
गम छुपाने के लिए भी मुस्कुरा लेते हैं लोग
Ho khushi bhi unko haasil ye jaruri to nahin
Gham chhupane ke liye bhi muskura letein hain log
*****
23
शहरों में वो घुटन है इस दौर में के इंसाँ
गुमनाम जंगलों की पुरवाई चाहता है
shaharon mein wo ghutan hai is daur mein ke insaan
Gumnaam jangalon ki purwaai chaahata hai
*****
24
बे-आबरू न थी कोई लग्जिश मेरी “क़तील”
मैं जब गिरा जहाँ भी गिरा होश में गिरा
(लग्जिश = भूल, गलती)
Be-aabroo na thi koi lagjish meri “Qateel”
Main jab gira jahan bhi gira hosh mein gira
*****
25
इश्क़ करोगे तो कमाओगे नाम
तोहमतें बटती नहीं खैरात में
Ishq karoge to kamaaoge naam
Tohamtein bat ti nahin khairaat mein
*****
26
मुझको डर है तेरे वादे पे भरोसा करके
मुफ़्त में ये दिल-ए-ख़ुशफ़हम न मारा जाये
Mujhko dar hai tere waade pe bharosha karke
Muft mein ye dil-e-khushfaham na mara jaaye
*****
27
रुख़्सत के दिन भीगी आँखों उसका वो कहना हाए “क़तील”
तुम को लौट ही जाना था तो इस नगरी क्यूँ आये थे
Rukhsat ke din bheegi aankhon uska wo kehana haaye “Qateel”
Tum ko laut hi jaana tha to is nagari kyun aaye the
*****
28
सुन लिया कैसे ख़ुदा जाने ज़माने भर ने
वो फ़साना जो कभी हमने सुनाया भी नहीं
Sun liya kaise khuda jaane zamaane bhar ne
Wo fasaana jo kabhi hamne sunaaya bhi nahin
*****
29
तुम पूछो और मैं न बताउ ऐसे तो हालात नहीं
एक ज़रा सा दिल टूटा है और तो कोई बात नहीं
Tum poochho aur main na bataau aese to haalaat nahin
Ek zara sa dil tuta hai aur to koi baat nahin
*****
30
कुछ कह रही हैं आप के सीने की धड़कनें
मेरा नहीं तो दिल का कहा मान जाइए
Kuchh kah rahi hai aap ke seene ki dhadkanein
Mera nahin to dil ka kaha maan jaaiye
*****
प्रसिद्ध शायरों की शायरियों का विशाल संग्रह
*****
Tag : New, Best, Latest, Two Line, Hindi, Urdu, Shayari, Sher, Ashaar, Collection, Shyari, नई, नवीनतम, लेटेस्ट, हिंदी, उर्दू, शायरी, शेर, अशआर, संग्रह
Join the Discussion!