Top 100 Dard Bhari Shayari, Painful Shayari, Top 10, Top 50, Hindi, Images, New, Best, Latest, WhatsApp, Facebook
*****
1
दिल में है जो दर्द वो दर्द किसे बताएं
हंसते हुए ये ज़ख्म किसे दिखाएँ
कहती है ये दुनिया हमे खुश नसीब
मगर इस नसीब की दास्ताँ किसे बताएं
Dil mein hai dard wo dard kise bataayen
Hanste hue ye zakhm kise dikhaayen
Kehati hai ye duniya hame khush naseeb
Magar is naseeb ki daastan kise bataayen
*****
2
खामोशियाँ कर देतीं बयान तो अलग बात है
कुछ दर्द हैं जो लफ़्ज़ों में उतारे नहीं जाते
Khaamoshiyan kar deti hai bayaan to alag baat hai
Kuchh dard hai jo lafzon mein utaare nahi jaate
*****
3
सबने कहा इश्क़ दर्द है
हमने कहा यह दर्द भी क़बूल है
सबने कहा इस दर्द के साथ जी नहीं पाओगे
हमने कहा इस दर्द के साथ मरना भी क़बूल है
Sabne kaha ishq dard hai
Hamne kaha yah dard bhii kabool hai
Sabne kaha is dard ke saath jee na paoge
Hamne kaha is dard ke saath marna bhi kabool hai
*****
4
हम जले तो सब चिराग समझ बैठे
जब महके तो सब गुलाब समझ बैठे
मेरे लफ्जों का दर्द किसी ने नहीं देखा
शायरी पढ़ी तो शायर समझ बैठे
Ham jale to chiraag samjh baithe
Jab mahke to sab gulaab samjh baithe
Mere lafzon ka dard kisi ne nahi dekha
Shayari padhi to shayar samjh baithe
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
5
रोज़ पिलाता हूँ एक ज़हर का प्याला उसे
एक दर्द जो दिल में है मरता ही नहीं है
Roz pilaata hoon ek zahar ka pyaala use
Ek dard jo dil mein hai marta hi nahi hai
*****
6
पत्थर की दुनिया जज़्बात नही समझती
दिल में क्या है वो बात नही समझती
तन्हा तो चाँद भी है सितारों के बीच में
पर चाँद का दर्द वो रात नही समझती
Pathar ki duniya jajbaat nahi samjhti
Dil mein kya hai wo baat nahi samjhti
Tanha to chaand bhi hai sitaron ke beech mein
Par chand ka dard wo raat nain samjhti
*****
7
नसीहत अच्छी देती है दुनिया
अगर दर्द किसी ग़ैर का हो
Naseehat acchi deti hai duniya
Agar dard kisi gair ka ho
*****
8
आँखों में उमड़ आता है बादल बन कर
दर्द एहसास को बंजर नहीं रहने देता
Aankho mein umad aata hai baadal ban kar
Dard ehsaasko banzar nahi rahne deta
*****
9
और भी बनती लकीरें दर्द की शायद कई
शुक्र है तेरा खुदा जो हाथ छोटा सा दिया
तूने जो बख्शी हमें बस चार दिन की ज़िंदगी
या ख़ुदा अच्छा किया जो साथ छोटा सा दिया
Aur bhi banti lakeerein dard ki shaayad
Shukr hai tera khuda jo haath chhota sa diya
Tune jo bakhshii hamein bas chaar din ki zindagii
Ya khuda accha kiya jo saath chhota sa diya
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
10
आईना आज फिर रिश्वत लेता पकड़ा गया
दिल में था दर्द चेहरा हँसता हुआ पकड़ा गया
Aaina aaj phir riswat leta pakdaa gayaa
Dil mein tha dard cheharaa hanstaa hua pakdaa gayaa
*****
11
वो तो अपना दर्द रो-रो कर सुनाते रहे
हमारी तन्हाइयों से भी आँख चुराते रहे
हमें ही मिल गया खिताब-ए-बेवफा क्योंकि
हम हर दर्द मुस्कुरा कर छुपाते रहे
Wo to apna dard ro-ro kar sunaate rahe
Hamaari tanhaaiyon se bhi aankh churaate rahe
Hame hi mil gaya khitaab-e-bewafa kyonki
Ham har dard muskura kar chuupate rahe
*****
12
दर्द मोहब्बत का ऐ दोस्त बहुत खूब होगा
न चुभेगा.. न दिखेगा.. बस महसूस होगा
Dard mohabbat ka ae dost bahut khoob hoga
Na chubhega, na dikhega, bas mahsoos hoga
*****
13
जब फुरसत मिले चाँद से
मेरे दर्द की कहानी पूछ लेना
सिर्फ एक वो ही है मेरा हमराज
तेरे जाने के बाद
Jab fursat mile chand se
Mere dard ki kahni pucch lena
Sirf ek wo hi hai mera hamraaz
Tere jaane ke baad
*****
14
दर्द में भी ये लब मुस्कुरा जाते हैं
बीते लम्हे हमें जब भी याद आते है
Dard mein bhi ye lab muskura jaate hai
Beete lamhe hamein jab bhi yaad aate hain
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
15
छोटी सी ज़िन्दगी में अरमान बहुत थे
हमदर्द कोई न था इंसान बहुत थे
हम अपना दर्द बताते भी तो किसे बताते
मेरे दोस्त मुझसे अनजान बहुत थे
Chhoti si duniya mein armaan bahut the
Hamdard koi na tha insaan bahut the
Ham apnaa dard bataate bhi to kise bataate
Mere dost mujhse anjaan bahut the
*****
16
लहजे से उठ रहा था हर इक दर्द का धुआं
चेहरा बता रहा था के कुछ गवां दिया
Lahze se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
Chehara bata raha tha ki sab kuchh gava diya
*****
17
हँसते हुए ज़ख्मों को भुलाने लगे हैं हम
हर दर्द के निशान मिटाने लगे हैं हम
अब और कोई ज़ुल्म सताएगा क्या भला
ज़ुल्मों सितम को अब तो सताने लगे हैं हम
Hanste hue zakhmon ko bhulaane lage hai ham
Har dard ke nishaan mitaane lage hain ham
Ab aur koi julm sataayga kya bhala
Julamo sitam ko ab to sataane lage hain ham
*****
18
दर्द को मुस्कराकर सहना क्या सीख लिया
सब ने सोच लिया मुझे तकलीफ़ नहीं होती
Dard ko muskurakar sahna kya seekh liya
Sab ne soch liya mujhe taqleef nahi hota
*****
19
दर्द-ए-दिल कम ना होगा ऐ सनम
आपकी महफ़िल से जाने के बाद
नाम बदनाम हमारा होगा
आपकी ज़िन्दगी से जाने के बाद
Dard-e-dil kam na hoga ae sanam
Aapki mahfil se jaane ke baad
Naam badnaam hamaara hoga
Aapki zindagii se jaane ke baad
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
20
मेरे तो दर्द भी औरों के काम आते हैं
मैं रो पडूँ तो कई लोग मुस्कराते है
Mere to dard bhi auron ke kaam aate hai
Main roo padu to kai log muskuraate hain
*****
21
मोहब्बत की अजमाइश दे दे कर
हम थक गए हैं ऐ खुदा
मुकद्दर में कोई ऐसा भी लिख दे
जो मौत तक वफ़ा करे
Mohbbat ki ajmaaish de de kar
Ham thak gaye hai ae khuda
Muqddar mein koi aesa bhi likh de
Jo maut tak wafa kare
*****
22
लोग मुन्तज़िर ही रहे कि हमें टूटा हुआ देखें
और हम थे कि दर्द सहते-सहते पत्थर के हो गए
Log muntzir hi rahe ki hamein toota hua dekhe
Aur ham the ki dard sahte-sahte pathr ke ho gaye
*****
23
कागज़ पे हमने भी ज़िन्दगी लिख दी
अश्क से सींच कर उनकी खुशी लिख दी
दर्द जब हमने उबारा लफ्जों पे
लोगों ने कहा वाह क्या गजल लिख दी
Kaagaz pehamne bhi zindagi likh di
Ashq se seench kar inki khushi likh di
Dard jab hamne ubaara lafzon pe
Logo ne kaha waah kya ghazal likh di
*****
24
तकलीफ ये नहीं कि तुम्हें अज़ीज़ कोई और है
दर्द तब हुआ जब हम नजरंदाज किए गए
Taqleef ye nahin ki tumhein azeez koi aur hai
Dard tab hua jab ham nazarandaaz kiye agye
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
25
आरज़ू नहीं के गम का तूफान टल जाये
फ़िक्र तो ये है तेरा दिल न बदल जाये
भुलाना हो अगर मुझको तो एक अहसान करना
दर्द इतना देना के मेरी जान निकल जाये
Aarzoo nahi ke gam ka toofan tal jaaye
Fikr to ye hai tera dil na badal jaaye
Bhulna ho agar mujhko to ek ahsaan karna
Dard itna dena ki meri jaan nikal jaaye
*****
26
मेरे आँसुओं के दाम तुम चुका नहीं पाओगे
मोहब्बत न ले सके तो दर्द क्या खरीदोगे
Mere aansuon ke daam tum chuka nahin paaoge
Mohabbat na le sake to dard kya khareedoge
*****
27
जो नजर से गुजर जाया करते हैं
वो सितारे अक्सर टूट जाया करते हैं
कुछ लोग दर्द को जाहिर नहीं होने देते
बस चुपचाप बिखर जाया करते हैं
Jo nazar se guzar jaya karte hai
Wo sitare aksar toot jaaya karte hai
Kuchh log dard ko zaahir nahin hone dete
Bas chupchaap bikhar jaaya karte hai
*****
28
तुझसे पहले भी कई जख्म थे सीने में मगर
अब के वह दर्द है दिल में कि रगें टूटती हैं
Tujhse pahale bhi kai zakhm the seene mein maagr
Ab ke wah dard hai dil mein ki rage tootti hain
*****
29
कैसे बयान करें आलम दिल की बेबसी का
वो क्या समझे दर्द आँखों की इस नमी का
उनके चाहने वाले इतने हो गए हैं अब कि
उन्हे अब एहसास ही नहीं हमारी कमी का
Kiase bayaan kare aalam dil ki bebsi ka
Wo kya samjhe dard aankhon ki is nami ka
Unke chaahne waale itane ho gaye hai ab ki
Unhein ab ehsaas hi nahi hamaari kami ka
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
30
आज उस ने एक दर्द दिया तो मुझे याद आया
हमने ही दुआओं में उसके सारे दर्द माँगे थे
Ajj us ne ek dard diya to mujhe yaad aaya
Hamne hi duaaon mein uske saare dard maange the
*****
31
महफ़िल में हँसना मेरा मिज़ाज़ बन गया
तन्हाई में रोना एक राज़ बन गया
दिल के दर्द को चेहरे से ज़ाहिर न होने दिया
यही मेरे जीने का अंदाज़ बन गया
Mahfil mein hasna mera mijaaj ban gaya
Tanhaai mein rona ek raaj ban gaya
Dil ke dard ko chehare se zaahir na hone diya
Yahi mere jeene ka andaaz ban gaya
*****
32
और भी कर देता है मेरे दर्द में इज़ाफ़ा
तेरे रहते हुए गैरों का दिलासा देना
Aur bhi kar deta hai mere dard mein izaafa
Tere rahte hue gairon ka dilaasa dena
*****
33
खेलना अच्छा नहीं
किसी के नाज़ुक दिल से
दर्द जान जाओगे
जब कोई खेलेगा तुम्हारे दिल से
Khelna accha nahin
Kisi ke naajuk dil se
Dard jaan jaaoge
Jab koi khelega tumhaare dil se
*****
34
सब सो गए अपना दर्द अपनों को सुना के
कोई होता मेरा तो मुझे भी नींद आ जाती
Sab so gaye apna dard apno ko suna ke
Koi hota mera to mujhe bhi neend aa jaati
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
35
दर्द के दामन में चाहत के कमल खिलते हैं
अश्क की लकीर पर यादों के कदम चलते हैं
रेंगते ख्यालों में नजर आती हैं मंजिलें
जब भी निगाहों में ख्वाबों के दिए जलते हैं
Dard ke daaman mein chaahat ke kamal khilte hain
Ashq ki lakeer par yaadon ke kadam chalte hain
Rengte nkhyaalon mein nazar aati hai manzil
Jab bhi nigaahon mein khwaabon ke diye jalte hain
*****
36
दर्द कब मोहताज़ होता है लफ्जों का
दो बूंद आँसू चाहिए बयाँ करने के लिये
Dard kab mohtaaz hota hai lafzon ka
Do boond aansoo chahaie bayaan karne ke liye
*****
37
इस बहते दर्द को मत रोको
यह तो सज़ा है किसी के इंतज़ार की
लोग इन्हे आँसू कहे या दीवानगी
पर यह तो निशानी है किसी के प्यार की
Is behate dard ko mat roko
Yah to saza hai kisi ke intezaar ki
Log inhein aansoo kahe ya deewangi
Par yah to nishani hai kisi ke pyaar ki
*****
38
दुरुस्त कर ही लिया मैंने नजरिया अपना
कि दर्द न हो तो मोहब्बत मजाक लगती है
Durust kar hi liya maine nazariya apnaa
Ki dard na hi to mohabbat mazaak lagti hai
*****
39
एक नया दर्द मेरे दिल में जागा कर चला गया
कल फिर वो मेरे शहर में आकर चला गया
जिसे ढूढ़ते रहे हम लोगो की भीड़ में
मुझ से वो अपने आप को छुपा कर चला गया
Ek naya dard mere dil mein jaga kar chala gaya
Kal phir wo mere shahar mein aakar chala gaya
Jise dhoondhte rahe ham logon ki bheed mein
Mujh se wo apne aap ko chhupa kar chala gay
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
40
मेरी हर आह को वाह मिली है यहाँ
कौन कहता है दर्द बिकता नहीं है
Meri har aah ko waah mili hai yahan
Kaun kehata hai dard bikta nahi hai
*****
41
दर्द ही सही मेरे इश्क का इनाम तो आया
खाली ही सही हाथों में जाम तो आया
मैं हूँ बेवफ़ा सबको बताया उसने
यूँ ही सही, उसके लबों पे मेरा नाम तो आया
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khaali hi sahi haathon mein jaam to aaya
Main hoon bewafa sabko bataya usne
Yun hi sahi, uske labo pe mera naam to aaya
*****
42
यह भी एक ज़माना देख लिया है हम ने
दर्द जो सुनाया अपना तो तालियां बज उठीं
Yah bhi ek zamaana dekh liya maine
Dard jo sunaaya apna to taaliyan baz uthi
*****
43
कहाँ कोई मिला ऐसा जिस पे दिल लुटा देते
हर एक ने धोखा दिया किस किसको भुला देते
अपने दर्द को दिल ही में दबाये रखा
करते बयां तो महफ़िलों को रुला देते
Kahan koi mila aesa jis pe dil luta dete
Har ek ne dhoka diya kis kisko bhula dete
Apne dard ko dil mein hi dabaaye rakha
Karte bayaan to mahfilon ko rulaa dete
*****
44
किस दर्द को लिखते हो इतना डूब कर
एक नया दर्द दे दिया है उसने ये पूछकर
Kis dard ko likhte ho itna doob kar
Ek naya dard de diya hai usne ye puchhkar
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
45
किसी ने यूँ ही पूछ लिया हमसे
कि दर्द की कीमत क्या है
हमने हँसते हुए कहा
पता नहीं कुछ अपने मुफ्त में दे गए
Kisi ne yun hii pucch liya hamse
Ki dard kii keemat kya hai
Hamne hanste hue kaha
Pata nahi kuchh apne muft mein de gaye
*****
46
आदत बदल सी गई है वक़्त काटने की
हिम्मत ही नहीं होती अपना दर्द बांटने की
Aadat badal si gai hai waqt kaatne ki
Himmat hi nahi hoti apna dard baatne ki
*****
47
न तस्वीर है तुम्हारी जो दीदार किया जाये
न तुम हो मेरे पास जो प्यार किया जाये
ये कौन सा दर्द दिया है तुमने ऐ सनम
न कुछ कहा जाये न तुम बिन रहा जाये
Na tasveer hai tumhaari jo deedar kiya jaaye
Na tum ho mere paas jo pyaar kiya jaaye
Ye kaunsa dard diya hai tumne ae sanam
na kuchh kaha jaaye na tum bin rahaa jaaye
*****
48
दर्द सहने की इतनी आदत सी हो गई है
कि अब दर्द ना मिले तो बहुत दर्द होता है
Dard sahne ki itani aadat si ho gai hai
Ki ab dard na mile to bahut dard hota hai
*****
49
यह जरुरी नहीं हर शख्स मसीहा ही हो
प्यार के जख्म अमानत हैं दिखाया न करो
शहर-ऐ-एहसास में पथराव बहुत हैं मोसिन
दिल को शीशे के झरोखों में सजाया न करो
Yah jaruri nahi ki har shakhs maseeha hii ho
Pyaar ke zakhm amaanat hai dikhaaya na karo
Shehar-e-ehsaas mein pathraav bahut hai Mosin
Dil ko sheeshe ke jharokhon mein sajaaya na karo
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
50
अब दर्द उठा है तो गज़ल भी है जरूरी
पहले भी हुआ करता था इस बार बहुत है
Ab dard utha hai to gazal bhi hai jaruri
Pehale bhi hua karta tha is baar bahut hai
*****
51
बरसो गुजर गए रोकर नहीं देखा
आँखों में नींद थी सोकर नहीं देखा
आखिर वो क्या जाने दर्द मोहब्बत का
जिसने किसी को कभी खोकर नहीं देखा
Barso gujar gaye rokar nahi dekha
Aankho mein neend thi sokar nahi dekha
Aakhir wo kya jaane dard mohabbat ka
Jisne kisi ko kabhi khokar nahi dekha
*****
52
जब्त कहता है कि खामोशी से बसर हो जाये
दर्द की जिद है कि दुनिया को खबर हो जाये
Zabt kahta hai ki khaamoshi se basar ho jaaye
Dard ki zid hai ki duniya ko khabar ho jaaye
*****
53
वो रात दर्द और सितम की रात होगी
जिस रात रुखसत उनकी बारात होगी
उठ जाता हूँ मैं ये सोचकर नींद से अक्सर
कि एक गैर की बाहों में मेरी सारी कायनात होगी
Wo raat dard aur sitam ki raat hogi
Jis raat rukhsat unki baaraat hogi
Uth aata hoon main ye sochkar neend mein aksar
Ki ek gair ki baahon mein meri kaaynaat hogi
*****
54
दर्द हमने संभाला है हमने आँसू बहाए हैं
बेशक वजह तुम थे पर दिल तो हमारा था
Dard hamne sambhaala hai hamne aansoo bahaaye hai
Beshaq wajah tum the par dil to hamaara tha
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
55
दर्द बहुत हुआ दिल के टूट जाने से
कुछ न मिला उनके लिए आँसू बहाने से
वो जानते थे वजह मेरे दर्द की
फिर भी बाज़ न आये मुझे आजमाने से
Dard bahut hua dil ke toot jaane se
Kuchh na mila unke liye aansoo bahaane se
Wo jaante the wajah mere dard ki
Phir bhi baaz na aaye mujhe aajmaane se
*****
56
ज़हर देता है कोई कोई दवा देता है
जो भी मिलता है मेरा दर्द बढ़ा देता है
Zahar deta hai koi, koi dawa deta hai
Jo bhi milta hai mera dard badha deta hai
*****
57
मोहब्बत में लाखों ज़ख्म खाये हमने
अफसोश उन्हें हम पर ऐतबार नहीं
मत पूछों क्या गुजरती है दिल पर
जब वो कहते है हमें तुमसे प्यार नहीं है
Mohabbat mein laakhon zakhm khaaye hamne
Afsosh unhein ham par aetbaar nahi
Mat punchh kya gujarti hai dil par
Jab wo kehate hai hamein tumse pyaar nahi
*****
58
तुम न कर सकोगे मेरे दिल के दर्द का इलाज़
ज़ख्म को नासूर हुए मुद्दतें गुजर गयीं
Tum na kar sakoge mere dil ke dard ka ilaaz
Zakhm ko naasoor hue muddatein gujar gayi
*****
59
तेरे वादों ने हमें घर से निकलने न दिया
लोग मौसम का मजा ले गए बरसातों में
अब न सूरज न सितारे न शम्मा ना चाँद
अपने जख्मो का उजाला है घनी रातों में
Tere waadon ne hamein ghar se nikalne nahi diya
Log mausam ka mazaa le gaye barsaaton mein
Ab na sooraj na sitaare na shmma na chaand
Apne zakhmno ka ujaala hai ghani raato mein
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
60
हमने सोचा था कि बताएंगे दिल का दर्द तुमको
पर तुमने तो इतना भी न पूछा कि खामोश क्यों हो
Hamne socha tha ki bataayenge dil ka dard tumko
Par tumne to itna bhi na puchha ki khaamosh kyon ho
*****
61
दर्द दे गए सितम भी दे गए
ज़ख़्म के साथ वो मरहम भी दे गए
दो लफ़्ज़ों से कर गए अपना मन हल्का
और हमें कभी ना रोने की कसम दे गए
Dard de gaye sitam bhi de gaye
Zakhm ke saath wo marham bhi de gaye
Do lafzon se kar gaye apna man halka
Aur hamein kabhi na rone ki kasam de gaye
*****
62
वो जान गयी थी हमें दर्द में मुस्कराने की आदत है
देती थी नया जख्म वो रोज मेरी ख़ुशी के लिए
Wo jaan gayi thi hamein dard mein muskuraane ki aadat hai
Deti thi naya zakhm wo roz meri khushi ke liye
*****
63
कहां कोइ मिला जिस पर दिल लुटा देते
हर एक ने धोखा दिया किस किस को भुला देते
रखते हैं दिल में छुपा के अपना दर्द
करते बयान तो महफिल को रुला देते
Kaha koi mila jis par dil luta dete
Har ek ne dhokha diya kis kis ko bhula dete
Rakhte hai dil mein chhupa ke apna dard
Karte bayaan to mahfil ko rula dete
*****
64
इस तरह मेरी तरफ मेरा मसीहा देखे
दर्द दिल में ही रहे और दवा हो जाए
Is tarah meri taraf mera maseeha dekhe
Dard dil mein hio rahe aur dawa ho jaaye
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
65
बेनाम सा ये दर्द ठहर क्यों नहीं जाता
जो बीत गया है वो गुजर क्यों नहीं जाता
वो एक ही चेहरा तो नहीं सारे जहाँ में
जो दूर है मुझसे वो दिल से उतर क्यों नहीं
Benaam sa ye dard thahar kyon nahi jaata
Jo beet gaya hai wo guzar kyon nahi jaata
Wo ek hi chehara to nahin saare jahan mein
Jo door hain mujhse wo dil se utar kyon nahi jaata
*****
66
मेरी फितरत में नहीं अपना दर्द बयां करना
अगर तेरे वजूद का हिस्सा हूँ तो महसूस कर मुझे
Meri fitrat mein nahi apnaa dard bayaan karna
Agar tere wajood ka hissa hoon to mahsoos kar mujhe
*****
67
मोहब्बत का मेरे सफ़र आखिरी है
ये कागज़ कलम ये गज़ल आखिरी है
मैं फिर न मिलूँगा कहीं ढूढ लेना
तेरे दर्द का अब ये असर आखिरी है
Mohabbat ka mere safar aakhiri hai
Ye kaagaz kalam ye ghazal aakhiri hai
Main phir na milunga kahi dhoondh lena
Tere dard ka ab ye asar aakhiri hai
*****
68
बहुत जुदा है औरों से मेरे दर्द की कहानी
जख्म का निशाँ नहीं और दर्द की इन्तेहाँ नहीं
Bhaut juda hai auron se mere dard ki kahaani
Zakhm ka nishaan nahin aur dard ki intehaan nahi
*****
69
उन्हें क्या पता जो कहते हैं
हर वक़्त रोया ना करो
मैं कैसे समझाऊं कुछ दर्द
सहने के काबिल नही होते
Unhein kya pata jo kehate hain
Har waqt roya na karo
Main kaise samjhaau kuchh dard
Sahne ke kaabil nahi hote
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
70
तू है सूरज तुझे मालूम कहाँ रात का दर्द
तू किसी रोज मेरे घर में उतर शाम के बाद
Tu ahi sooraj tujhe maaloom kahan raat ka dard
Tu kisi roz mere ghar mein utar shaam ke baad
*****
71
हम तेरे साथ चलेंगे तू चले ना चले
तेरा हर दर्द सहेंगे तू कहे ना कहे
सजी रहेगी दुनियां तेरी खुशियों से हमेशा
चाहे हम इस दुनियां में रहें ना रहें
Ham tere saath chalenge tu chale na chale
Tera har dard sahenge tu kah na kahe
Sazi rahegi duniya teri khushiyon se hamesha
Chaahe ham is duniya mein rahe na rahe
*****
72
बैठे है रहगुज़र पर दिल का दिया जलाये
शायद वो दर्द जाने, शायद वो लौट आये
Baithe hai rahguzar par dil ka diya jalaaye
Shaayad wo dard jaane, shaayad wo laut aaye
*****
73
छुप-छुप कर तन्हा रो लूंगा
अब दिल का दर्द किसी से ना कहूँगा
नींद तो आती नहीं रातों को मुझे
जब रुकेगी धड़कन तो जी भर के सो लूंगा
Chhup-chhup ke tanha ro lunga
Ab dil ka dard kisi se na kahunga
Neend to aati nahi raato ko mujhe
Jab rukegii dhdkan to jee bhar ke ro lunga
*****
74
दर्द की शाम हो या सुख का सवेरा हो
सब कुछ कबूल है अगर साथ तेरा हो
Dard ki shaam ho ya sukh ka savera ho
Sab kuchh kabool hai agar saath tera ho
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
75
कितना अजीब ज़िन्दगी का सफर निकला
सारे जहाँ का दर्द अपना मुक़द्दर निकला
जिसके नाम अपना हर लम्हा कर दिया
वही हमारी चाहत से बेखबर निकला
Kitana ajeeb zindagii ka safar nikala
Saare jahan ka dard apna muqddar nikala
Jiske naam apna har lamha kar diya
Wahi hamari chahat se bekhabar nikala
*****
76
तजुर्बे ने हमें एक बात तो सिखाई है
एक नया दर्द ही पुराने दर्द की दवाई है
Tajurbe ne hame ek baat to sikhai hai
Ek naya dard hi puraane dard ki dawaai hai
*****
77
न कर तू इतनी कोशिशे
मेरे दर्द को समझाने की
पहले इश्क कर फिर जख्म खा
फिर लिख दवा मेरे दर्द की
Na kar tu itani koshishe
Mere dard ko samjhaane ki
Pahale ishq kar phir zakhm kha
Phir likh dawa mere dard ki
*****
78
लोग कहते हैं हम मुस्कराते बहुत हैं
और हम थक गए दर्द छुपाते छुपाते
Log kehate ai ham muskuraate bahut hai
Aur ham thak gaye dard chupaate chupaate
*****
79
प्यार मुहब्बत का सिला कुछ नहीं
एक दर्द के सिवा मिला कुछ नहीं
सारे अरमान जल कर ख़ाक हो गए
लोग फिर भी कहते हैं जला कुछ भी नहीं
Pyar muhabbat ka sila kuchh nahi
Ek dard ke siwa mila kuchh nahi
Saare armaan jal kar khaak ho gaye
Log phir bhi kehate hai jala kuchh bhi nahi
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
80
कमाल का जिगर रखते हैं कुछ लोग
दर्द लिखते हैं और आह तक नहीं करते
Kamaal ka zigar rakhte hai kuchh log
Dard likhte hai aur aah taq nahi karte
*****
81
इशरत-ए-क़तरा है दरिया में फ़ना हो जाना
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना
Ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana
Dard ka had se gujarna hai dawa ho jaana
*****
82
प्यार सभी को जीना सिखा देता है
वफ़ा के नाम पे मरना सिखा देता है
प्यार नहीं किया तो करके देख लो यार
ज़ालिम हर दर्द सहना सिखा देता है
Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai
Pyar Nahi Kiya To Karke Dekh lo Yaar
Zaalim Har Dard Sahna Sikha Deta Hai
*****
83
नींद तो दर्द के बिस्तर पे भी आ सकती है
उनकी आग़ोश में सर हो ये ज़रूरी तो नहीं
Neend to bistar pe bhi aa sakti hai
Unki aagosh mein sar ho ye zaruri to nahi
*****
84
ख़ामोशी को इख़्तियार कर लेना
अपने दिल को थोडा बेक़रार कर लेना
जिंदगी का असली दर्द लेना हो तो
बस किसी से बेपनाह प्यार कर लेना
Khamoshi nKo Ikhtiyaar Kar Lena
Apne Dil Ko Thoda Bekaraar Kar Lena
Zindgii Ka Asali Dard Lena Ho To
Bas Kisi Se Bepanaah Pyaar Kar Lena
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
85
बेनाम सा ये दर्द ठहर क्यूँ नहीं जाता
जो बीत गया है वो गुज़र क्यूँ नहीं जाता
Benaam sa dard thahar kyun nahi jaata
Jo beet gaya hai wo guzar kyon nahi jaat
*****
86
न जाने उस पर इतना यकीन क्यूँ है
उसका ख्याल भी इतना हसीं क्यूँ है
सुना है प्यार का दर्द मीठा होता है
तो आँख से निकला आंसू नमकीन क्यूँ है
Na jaane us par itna yakeen kyun hai
Uska khyaal bhi itna haseen kyun hai
Suna hai pyaar ka dard meetha hota hai
To aankh se nikala aansoo namkin kyun hai
*****
87
मुद्दत गुज़र गयी कि यह आलम है मुस्तक़िल
दर्द का कोई सबब नहीं है मगर दिल उदास है
Muddat guzar gayi ki yah aalam hai mustkil
Dard ka koi sabab nahin hai magar dil udaas hai
*****
88
समझ में कुछ नहीं आता
मोहब्बत किस को कहते हैं
मगर इतना समझता हूँ
के कहीं पर दर्द होता है
Samjh mein kuchh nahi aata
Mohabbat Kis Ko kehate hai
Magar itna samjhta hoon
Ke kahi par dard hota hai
*****
89
ना दर्द हुआ सीने में, ना माथे पे शिकन आयी
इस बार जो दिल टूटा तो बस चेहरे पे मुस्कान आयी
Na dard hua seene mein, na maathe pe shikan aayi
Is baar jo dil tuta to bas chehare pe muskaan aayi
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
90
ज़ख्म जो तूने दिया वो गहरा दिया
करके वादा तूने हमको भुला दिया
दर्द देने वाले तेरा दिल से शुक्रिया
जो जिंदगी का तूने मतलब सिखा दिया
Zakhm jo tune diya wo gahra diya
Karke wada tune hamko bhula diya
Dard dene waale tera dil se shukriya
Jo zindagii ka tune matlab sikha diya
*****
91
मेरी हर शायरी में ‘सिर्फ तुम’ होते हो
दर्द बस इतना है कि.. सिर्फ ‘शायरी’ मे ही क्यों होते हो
Meri har shayari mein ‘sirf tum’ hote ho
Dard bas utna hai ki, sirf shayari mein hi kyon hote ho
*****
92
हर मुलाक़ात पर वक़्त का तकाज़ा हुआ
हर याद पर दिल का दर्द ताज़ा हुआ
har mulaakat par waqt ka takaaza hua
Har yaad par dil ka dard taaza hua
*****
93
दर्द बहुत हुआ दिल के टूट जाने से
कुछ न मिला उनके लिए आंसू बहाने से
वो जानते थे वजह मेरे दर्द की
फिर भी बाज न आये मुझे आजमाने से
Dard bahut hua dil ke toot jane se
Kuch ne mila unke aansoo bahaane se
Wo jante the wajah mere dard ki
Phir bhi baaj na aaye mujhe aajmaane se
*****
94
बहुत दर्द हैं ऐ जान-ए-अदा तेरी मोहब्बत में
कैसे कह दूँ कि तुझे वफ़ा निभानी नहीं आती
Bahut dard hai jaan-e-adaa teri mohabbat mein
Kaise kah doon ki tujhe wafa nibhani nahi aati
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
95
आँखें तो प्यार में दिल की जुबान होती हैं
सच्ची चाहत तो सदा बेजुबान होती है
प्यार में दर्द भी मिले तो मत घबराना
सुना है दर्द से चाहत और जवान होती है
Aankhein to pyaar mein dil ki jubaan hoti hai
Sacchi chaahat to sadaa bejubaan hoti hai
Pyaar mein dard bhii mile to mat ghabraana
Suna hai dard se chaahat aur jawaan hoti hai
*****
96
दर्द की भी अपनी अलग अदा है
वो भी सहने वालो पर फ़िदा है
Dard ki bhi apni alag ada hai
Wo bhi sahne waalo par fida hai
*****
97
ना किया कर अपने दर्द को
शायरी में बयान ऐ दिल
कुछ लोग टूट जाते हैं
इसे अपनी दास्तान समझकर
Na kiya kar apne dard ko
Shayari mein bayaan ae dil
Kuchh log toot jaate hain
Ise apni dastan samjhkar
*****
98
मुझको ढूढ़ लेता है हर रोज नए बहाने से
दर्द हो गया है वाकिफ मेरे हर ठिकाने से
Kujhko dhoondh leta hai har roz naye bahaane se
Dard ho gaya hai waaqif mere har thikaane se
*****
99
मुझको ऐसा दर्द मिला जिसकी दवा नहीं
फिर भी खुश हूँ मुझे उस से कोई गिला नहीं
और कितने आंसू बहाऊँ मैं उस के लिए
जिसको खुदा ने मेरे नसीब में लिखा नहीं
Mujhko aesa dard mila jiski dawa nahi
Phir bhi khush hoon mujhe us se koi gila nahi
Aur kitane aansoo bahaaun main uske liye
Jisko khuda ne mere naseeb mein likha hi nahi
*****
Top 100 Dard Bhari Shayari
100
वो जान गयी थी, हमे दर्द में मुस्कराने की आदत हैं
वो रोज नया जख्म देती थी मेरी ख़ुशी के लिए
Wo jaan gayi thi, hamein dard mein muskuraane ki aadat hai
Wo roz naya zakhm deti thi meri khushi ke liye
*****
Top 100 Aankhein Shayari | Top 100 आँखे शायरी
Top 100 Judai Shayari | Top 100 जुदाई शायरी
प्रसिद्ध शायरों की शायरियों का विशाल संग्रह
Join the Discussion!