Munawwar Rana
*****
Na main kanghee banaata hoon na main choti banaata hoon
Na main kanghee banaata hoon na main choti banaata hoon
Ghazal me aapbeeti ko main jagbeeti banaata hoon
Ghazal wah Sinf-Ae-Naazuk hai jise apni rafaaqat se
Wo mahbooba bana leta hai main beti banaata hoon
Hukoomat ka har inaam hai bandooksaazi par
Mujhe kaise milega main to baisakhi banaata hoon
Mere aangan ki kaliyon ko tammana shaahzaadon ki
Magar meri musibat mein beedi banaata hoon
Saza kitni badi hai gaaon se baahar nikalne ki
Maine mitti goondhta tha ab dabal roti banaata hoon
Wazaarat chand ghanto ki mahal meenaar se ooncha
Main Aurangzeb hoon apne liye khichadi banaata hoon
Bas itni iltiza hai tum ise barbaad mat karna
Tumhe is shahar ka maalik main Jeete-Jee banaata hoon
Mujhe is shehar ki sab ladkiyaan aadaab karti hai
Main bacchon ki kalaai ke liye raakhi banaata hoon
Tujhe ae zindgi ab kaidkhaane se gujarna hai
Tujhe main isliye Dukh-Dard ka aadi banaata hoon
MAin apne gaanv ka mukhiyaa bhi hoon bacchon ka qaatil bhi
Jalaakar doodh kuch logon ki khaatir ghee banaata hoon
Munawwar Rana
<—-Aen khwahish ke mutaabik sab usi ko mil gaya Siyaasat se adab ki dosti bemel lagti hai—->
Collection of Munawwar Rana Ghazals and Shayari
*****
न मैं कंघी बनाता हूँ न मैं चोटी बनाता हूँ
न मैं कंघी बनाता हूँ न मैं चोटी बनाता हूँ
ग़ज़ल में आपबीती को मैं जगबीती बनाता हूँ
ग़ज़ल वह सिन्फ़-ए-नाज़ुक़ है जिसे अपनी रफ़ाक़त से
वो महबूबा बना लेता है मैं बेटी बनाता हूँ
हुकूमत का हर एक इनआम है बंदूकसाज़ी पर
मुझे कैसे मिलेगा मैं तो बैसाखी बनाता हूँ
मेरे आँगन की कलियों को तमन्ना शाहज़ादों की
मगर मेरी मुसीबत है कि मैं बीड़ी बनाता हूँ
सज़ा कितनी बड़ी है गाँव से बाहर निकलने की
मैं मिट्टी गूँधता था अब डबल रोटी बनाता हूँ
वज़ारत चंद घंटों की महल मीनार से ऊँचा
मैं औरंगज़ेब हूँ अपने लिए खिचड़ी बनाता हूँ
बस इतनी इल्तिजा है तुम इसे बर्बाद मत करना
तुम्हें इस मुल्क का मालिक मैं जीते-जी बनाता हूँ
मुझे इस शहर की सब लड़कियाँ आदाब करती हैं
मैं बच्चों की कलाई के लिए राखी बनाता हूँ
तुझे ऐ ज़िन्दगी अब क़ैदख़ाने से गुज़रना है
तुझे मैँ इस लिए दुख-दर्द का आदी बनाता हूँ
मैं अपने गाँव का मुखिया भी हूँ बच्चों का क़ातिल भी
जलाकर दूध कुछ लोगों की ख़ातिर घी बनाता हूँ
मुनव्वर राना
<—-ऐन ख़्वाहिश के मुताबिक़ सब उसी को मिल गया सियासत से अदब की दोस्ती बेमेल लगती है—->
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स,
Join the Discussion!