Krishan Bihari ‘Noor’
Krishan Bihari ‘Noor’ – Ashaar
*****
11
किसी के रुख़ से जो परदा उठा दिया मैंने
सज़ा ये पाई कि दीवानगी की क़ैद में हूँ
Kisi ke rukh se jo parda utha diya maine
Saza ye paai ki deewangi ki qaid mein hun
*****
12
मैं जिसके हाथ में एक फूल देके आया था
उसी के हाथ का खंजर मेरी तलाश में है
Main Jiske hath mein ek phool deke aaya tha
Usi ke hath ka khanjar meri talash mein hai
*****
13
उस से अपना ग़म कह कर किस क़दर हूँ शर्मिन्दा
मैं तो एक क़तरा हूँ और वो समन्दर है
Us se apna gham kah kar kis kadar hun sharminda
Main to ek qatra hun aur wo samandar hain
*****
14
हज़ार ग़म सही दिल में मगर ख़ुशी यह है
हमारे होंठों पे माँगी हुई हँसी तो नहीं
Hazar gham sahi dil mein magar khushi yah hain
Hamare hontho pe maangi hui hansi to nahin
*****
15
हुई जो जश्ने-बहाराँ के नाम से मन्सूब
ये आशियानों के जलने की रौशनी तो नहीं
Hui jo jashne-baharan ke naam se mansoob
Ye aashiyanon ke jalane ki raushani to nahin
*****
16
हो किस तरह से बयाँ तेरे हुस्न का आलम
ज़ुबाँ नज़र तो नहीं है नज़र ज़ुबाँ तो नहीं
Ho kis tarah se bayan tere husn ka aalam
Juban nazar to nahin hai nazar juban to nahin
*****
17
जहाँ न सुख का हो अहसास और न दुख की कसक
उसी मुक़ाम पे अब शायरी है और मैं हूँ
Jahan na sukh ka ho ehsaas aur na dukh ki kasak
Usi mukam pe ab shayari hai aur main hoon
*****
18
ज़मीर काँप तो जाता है आप कुछ भी कहें
वो हो गुनाह से पहले कि हो गुनाह के बाद
Zameer kaanp to jata hai aap kuchh bhi kahein
Wo ho gunah se pahale ki ho gunah ke baad
*****
19
मैं तो छोटा हूँ झुका दूँगा कभी भी अपना सर
सब बड़े ये तय तो कर लें – कौन है सब से बड़ा
Main to chhota hoon jhuka dunga kabhi bhi apna sar
Sab bade ye tay to kar lein – kaun hai sab se bada
*****
20
अपनी पलकों से उस के शरारे उठा
ओस की उँगलियों से शरारे उठा
Apni palkon se us ke sharaare utha
Oas ki ungaliyon se sharaare utha
*****
प्रसिद्ध शायरों की ग़ज़लों का विशाल संग्रह
*****
Tag : New, Best, Latest, Two Line, Hindi, Urdu, Shayari, Sher, Ashaar, Collection, Shyari, नई, नवीनतम, लेटेस्ट, हिंदी, उर्दू, शायरी, शेर, अशआर, संग्रह
Join the Discussion!