Nida Fazli
*****
Apna gham leke kahin aur na jaya jaye
Apna gham le ke kahin aur na jaaya jaaye
Ghar mein bikhri hui cheezon ko sajaaya jaaye
Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin
Un chiragon ko hawaon se bachaya jaaye
Baag mein jaane ke aadaab hua karte hain
Kisi titlee ko na phoolon se udaaya jaaye
Khudkhushi karne kii himmat nahi hoti sab me
Aur kuchh din yun hi auron ko sataayaa jaaye
Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le
Kisi rote huye bachche ko hansaya jaaye
<——–Badla na apne aap ko jo the wahi rahe Har ghadi khud se uljhana hai muqaddar mera ——>
Collection of Nida Fazli Shyari and Ghazal
*****
अपना ग़म ले के कहीं और ना जाया जाए
अपना ग़म ले के कहीं और ना जाया जाए
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाए
जिन चिरागों को हवाओं का कोई खौफ नहीं
उन चिरागों को हवाओं से बचाया जाए
बाग़ में जाने के आदाब* हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाए
खुदखुशी* करने कि हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन यूँ ही औरों को सताया जाए
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लो
किसी रोते हुए बच्चे को हंसाया जाए
आदाब = शिष्टाचार
खुदखुशी = आत्महत्या
निदा फ़ाज़ली
<——–बदला ना अपने आपको जो थे वही रहे हर घड़ी ख़ुद से उलझना है मुक़द्दर मेरा——>
निदा फ़ाज़ली की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!